PTA Mobile registration tax kaise kam karein

PTA mobile registration tax kaise kam karein?

Aaj jis topic peh main likhhnay ja raha hoon woh bahut ehm hai, PTA Mobile registration tax kaise kam karein? yaqeenan aap iss ke baray mein shiddat se janna chahty hain. kyun ke jab se PTA ne Pakistan se bahir se anay walay mobile phone par tax duty leni shuroo ki hai tab se aaj tak PTA ka system chalany walay apni man mani kar rahey hain aur awaam ko jitna ho sakay pareshaan kar rahay hain. Mazeed jan-nay ke liye aap PTA device verification system post read kar lein ya video dekhh lein.

Iss post ko read kar leinay ke baad aap PTA ki website par mobile phone par ziyada charges ke baray mein complaint darj karwany ke qabil ho jaien gy. to aap se darkhwast hai keh iss post ko poora parh lein phir aap PTA website par complaint karein. Kyun keh agar aap ke pass complete information hogi to aap ke darkhwast reject nahein hogi.

Iss ke liye aap ne PTA official website ka page open kar lena hai, yahan aap ne Consumer support > Consumer services > Consumer complains ka page open kar lena hai. iss ke baad aap ne PTA online complaint form open kar lena hai.

PTA Online complaint form mein aap ko bahut sary options milein gay aap yahan mukhtalif qisam ki complaints kar sakty hain jo darj-e-zail hain.

  • PTA Account related issues
  • PTA Mobile registration application rejected
  • Correction of wrongly entered IMEI during mobile registration with PTA
  • PTA Custom duties and PSID not generated
  • IMEI is registered but no service
  • Misuse of credentials with PTA mobile registration
  • PTA mobile registration account deletion issue
  • PTA mobile registration account creation issue
  • PTA mobile registration verification
  • Sim 1 or 2 slot is still non-compliant after registration
  • FBR Payment issue against deleted PSID
  • PTA mobile registration issue miscellaneous
  • PTA Mobile registration after replaced under warranty

PTA Custom duty complaint registration method

PTA custom duty ziyada ban janay ki surat mein aap PTA ko darkhwast kar saktya hain ke aap ke sastay phone ka ziyada tax bataya ja raha hain iss please thek karein. Agar aap ki darkhwast par PTA amal na kary ya ignore karay to aap Pakistan citizen portal peh bhi apni complaint register kar saktay hain.

Lekin pareshaan honay ki zarurat nahein PTA ne ab kaam shuroo kar diya hai, main ne mobile ki custom duty ziyada generate honay peh complaint ki thi aap khud hi dekhh lein 4 minuts mein PTA ne reply ki hai.

PTA mobile registration issue

Yahaan main ne eik mistake ki thi, woh yeh this ke main ne mobile ki IMEI ke proof aur apnay CNIC yani computerized national identity card ki information attach nahein ki thien. aap iss kaam ke liye Cam Scanner Android application use kar ke PDF ya JPG file bana lein aur attach kar dein, yaad rahay ke iss file ki maximum file size 5 mb ke limit cross na karein warna system yeh file accept nahein karay ga.

Agar Google Play ke link mein aap ko Cam Scanner application download karnay mein koi problem ho to aap apkmirror.com se download kar saktay hain.

How to complaint for reduce duty tax for mobile registration?

Agar abhi bhi aap ko PTA complaint for decrease duty tax on mobile peh koi pareshaani hai to aap neechay di gai video dekhh lein aur PTA custom duty tax ke liye complaint karein aur kisi bhi qisam ki problem aany par aap comments mein likk saktay hain. Watch video

PTA mobile registration tax kaise kam karein?

App yaqeenan soch rahay hoon gay keh aap sari post read kar li aur video bhi dekhh li to ab aur kiya reh giya hai? to chalye main bata hoon eik aur tareeqa jis ki madad se aap ko mobile registration peh 10% discount milta hai.

Woh tareeqa yeh hai ke aap apnay qareebi dostoon ya rishtay daroon mein dekhein koi mulk se bahir se aya ho aur uss ko 60 din se kam huway hoon. Un ke passport ki details ke saath mobile register karnay peh aap ko 10% discount mil jaye ga. Kabhi yeh free tha lekin yeh information banda ghar ponhchnay se pehlay air port ya FIA se chori ho jati this aur banday ke naam peh free mobile register ho jata tha.

Agar aap ka kaam ho jaye to iss post ko whatsapp aur facebook peh dostoon ke saath share kar dena, aap yeh support hamein aur artical likknay mein hosla de gi.

How to activate iphone 7 without home button
Finding IMEI number of lost phone

Leave a Reply

Advertisement
My Cart
Wishlist
Recently Viewed
Categories